sham ko subh-e-chaman yaad aai
shaam ko sub.h-e-chaman yaad aa.ī
kis kī ḳhushbu-e-badan yaad aa.ī
jab ḳhayāloñ meñ koī moḌ aayā
tere gesū kī shikan yaad aa.ī
yaad aa.e tire paikar ke ḳhutūt
apnī kotāhī-e-fan yaad aa.ī
chāñd jab duur ufuq par Duubā
tere lahje kī thakan yaad aa.ī
din shuāoñ se ulajhte guzrā
raat aa.ī to kiran yaad aa.ī
sham ko subh-e-chaman yaad aai
kis ki KHushbu-e-badan yaad aai
jab KHayalon mein koi moD aaya
tere gesu ki shikan yaad aai
yaad aae tere paikar ke KHutut
apni kotahi-e-fan yaad aai
chand jab dur ufuq par Duba
tere lahje ki thakan yaad aai
din shuaon se ulajhte guzra
raat aai to kiran yaad aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.