jab tak nigar-e-dasht ka sina dukha na tha
jab tak nigār-e-dasht kā siina dukhā na thā
sahrā meñ koī lāla-e-sahrā khilā na thā
do jhīleñ us kī āñkhoñ meñ lahrā ke so ga.iiñ
us vaqt merī 'umr kā dariyā chaḌhā na thā
jaagī na thiiñ nasoñ meñ tamannā kī nāgineñ
us gandumī sharāb ko jab tak chakhā na thā
DhūñDā karo jahān-e-tahayyur meñ 'umr bhar
vo chaltī phirtī chhāñv hai maiñ ne kahā na thā
ik bevafā ke sāmne aañsū bahāte ham
itnā hamārī aañkh kā paanī marā na thā
vo kaale hoñT jaam samajh kar chaḌhā ga.e
vo aab jis se maiñ ne vuzū tak kiyā na thā
sab log apne apne ḳhudāoñ ko laa.e the
ik ham hī aise the ki hamārā ḳhudā na thā
vo kaalī āñkheñ shahr meñ mash.hūr thiiñ bahut
tab un pe moTe shīshoñ kā chashma chaḌhā na thā
maiñ sāhib-e-ġhazal thā hasīnoñ kī bazm meñ
sar par ghanere baal the māthā khulā na thā
jab tak nigar-e-dasht ka sina dukha na tha
sahra mein koi lala-e-sahra khila na tha
do jhilen us ki aankhon mein lahra ke so gain
us waqt meri 'umr ka dariya chaDha na tha
jagi na thin nason mein tamanna ki naginen
us gandumi sharab ko jab tak chakha na tha
DhunDa karo jahan-e-tahayyur mein 'umr bhar
wo chalti phirti chhanw hai main ne kaha na tha
ek bewafa ke samne aansu bahate hum
itna hamari aankh ka pani mara na tha
wo kale honT jam samajh kar chaDha gae
wo aab jis se main ne wuzu tak kiya na tha
sab log apne apne KHudaon ko lae the
ek hum hi aise the ki hamara KHuda na tha
wo kali aankhen shahr mein mashhur thin bahut
tab un pe moTe shishon ka chashma chaDha na tha
main sahib-e-ghazal tha hasinon ki bazm mein
sar par ghanere baal the matha khula na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.