dhuan kaleje se mere nikla jala jo dil bas ki rashk kha kar
dhuan kaleje se mere nikla jala jo dil bas ki rashk kha kar
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
dhuāñ kaleje se mere niklā jalā jo dil bas ki rashk khā kar
vo rashk ye thā ki ġhair se Tuk hañsā thā chanchal misī lagā kar
faqat jo chitvan pe ġhaur kiije to vo bhī vo sehr hai ki jis kā
karishma banda ġhulām ġhamza daġhā.eñ naukar fareb chākar
ḳhirām kī hai vo tarz yaaro ki jis meñ nikleñ ka.ī adā.eñ
qadam jo rakhnā to tan ke rakhnā jo phir uThānā to Dagmagā kar
laTak meñ bandoñ kī dil jo aave to ḳhair bande hī us ko le leñ
vagarna aave to phir na chhoḌe udhar se baalā jhamak dikhā kar
majāl kyā hai jo dū-badū ho nazar se koī nazar laḌāve
magar kisī ne jo us ko dekhā to sau ḳharābī se chhup chhupā kar
sune kisī ke na dard-e-dil ko vagar sune to jhiḌak ke us ko
ye saaf kah de to kyā balā hai jo sar phirātā hai nāhaq aa kar
'nazīr' vo but hai dushman-e-jāñ na miliyo us se tū dekh hargiz
vagar milā to ḳhudā hai hāfiz bache haiñ ham bhī ḳhudā ḳhudā kar
dhuan kaleje se mere nikla jala jo dil bas ki rashk kha kar
wo rashk ye tha ki ghair se Tuk hansa tha chanchal misi laga kar
faqat jo chitwan pe ghaur kije to wo bhi wo sehr hai ki jis ka
karishma banda ghulam ghamza daghaen naukar fareb chaakar
KHiram ki hai wo tarz yaro ki jis mein niklen kai adaen
qadam jo rakhna to tan ke rakhna jo phir uThana to Dagmaga kar
laTak mein bandon ki dil jo aawe to KHair bande hi us ko le len
wagarna aawe to phir na chhoDe udhar se baala jhamak dikha kar
majal kya hai jo du-badu ho nazar se koi nazar laDawe
magar kisi ne jo us ko dekha to sau KHarabi se chhup chhupa kar
sune kisi ke na dard-e-dil ko wagar sune to jhiDak ke us ko
ye saf kah de to kya bala hai jo sar phiraata hai nahaq aa kar
'nazir' wo but hai dushman-e-jaan na miliyo us se tu dekh hargiz
wagar mila to KHuda hai hafiz bache hain hum bhi KHuda KHuda kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.