baiThe hain bhigi zulf pareshan kiye hue
baiThe hain bhigi zulf pareshan kiye hue
Salahuddin Faiq Burhanpuri
MORE BYSalahuddin Faiq Burhanpuri
baiThe haiñ bhīgī zulf pareshāñ kiye hue
kāfir adā-e-husn ko uryāñ kiye hue
dil kuchh mohabbatoñ se gurezāñ kiye hue
baiThā huuñ kuchh ḳhayāl pareshāñ kiye hue
āñkhoñ meñ ik latīf sī mastī bharī huī
nazroñ ko ham-kanār-e-gulistāñ kiye hue
aa mai-kade meñ ban ke bahār-e-havā-e-sub.h
chal de har ek jaam ko raqsāñ kiye hue
muusā batā rahā huuñ yahīñ jalva-gāh-e-tūr
nazroñ ko sirf jalva-e-pinhāñ kiye hue
aalam dikhā rahe haiñ ajab nūr-o-nār kā
jalvoñ ko husn-o-ishq ke yak-jāñ kiye hue
baiThe hain bhigi zulf pareshan kiye hue
kafir ada-e-husn ko uryan kiye hue
dil kuchh mohabbaton se gurezan kiye hue
baiTha hun kuchh KHayal pareshan kiye hue
aankhon mein ek latif si masti bhari hui
nazron ko ham-kanar-e-gulistan kiye hue
aa mai-kade mein ban ke bahaar-e-hawa-e-subh
chal de har ek jam ko raqsan kiye hue
musa bata raha hun yahin jalwa-gah-e-tur
nazron ko sirf jalwa-e-pinhan kiye hue
aalam dikha rahe hain ajab nur-o-nar ka
jalwon ko husn-o-ishq ke yak-jaan kiye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.