hukm-e-sayyaad hai ta-KHatm-e-tamasha-e-bahaar
hukm-e-sayyād hai tā-ḳhatm-e-tamāshā-e-bahār
saarī duniyā kahe bulbul na kahe haa.e bahār
sub.h gul-gasht ko jaate ho ki sharmā.e bahār
kyā ye matlab hai gulistāñ se nikal jaa.e bahār
muñh se kuchh bhī dam-e-ruḳhsat na kahā bulbul ne
sirf sayyād ne itnā to sunā haa.e bahār
ye bhī kuchh baat huī gul hañse tum ruuTh ga.e
is pe ye zid ki abhī ḳhaak meñ mil jaa.e bahār
tere qurbān 'qamar' muñh sar-e-gulzār na khol
sadqe us chāñd sī sūrat pe na ho jaa.e bahār
hukm-e-sayyaad hai ta-KHatm-e-tamasha-e-bahaar
sari duniya kahe bulbul na kahe hae bahaar
subh gul-gasht ko jate ho ki sharmae bahaar
kya ye matlab hai gulistan se nikal jae bahaar
munh se kuchh bhi dam-e-ruKHsat na kaha bulbul ne
sirf sayyaad ne itna to suna hae bahaar
ye bhi kuchh baat hui gul hanse tum ruTh gae
is pe ye zid ki abhi KHak mein mil jae bahaar
tere qurban 'qamar' munh sar-e-gulzar na khol
sadqe us chand si surat pe na ho jae bahaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.