biThā rakkhā hai darvāze pe kyoñ darbān holī meñ
gale miltā hai har insān se insān holī meñ
buḌhāpe meñ nazar aa.ī ḳhudā kī shaan holī meñ
banī haiñ un se zaa.id un kī ammāñ jaan holī meñ
hasīnoñ se bharā hai rang kā maidān holī meñ
mirī rakhnā tū hī ab aabrū bhagvān holī meñ
kisī ruḳh se koī āshiq nikal kar jā nahīñ saktā
hasīnoñ ne lagā rakkhā hai chūhe-dān holī meñ
abhī rangīn ḳhālī tan hai man bhī laal ho jaa.e
tum apne haath se ham ko khilā do paan holī meñ
ba-nām-e-rang chhū sakte haiñ sab ke gore gāloñ ko
vahī mushkil jo kal tak thī vo hai āsān holī meñ
sasur se saas se aur sāliyoñ ke baad sāloñ se
gale mil kar nikāle jā.eñge armān holī meñ
javānī meñ huī shādī buḌhāpe meñ huā bachcha
juā khelā dīvālī meñ huā chālān holī meñ
sab is sūrat se kheleñ rang 'nāvak' ek dil ho kar
rahe phir mard aurat kī na kuchh pahchān holī meñ
biTha rakkha hai darwaze pe kyon darban holi mein
gale milta hai har insan se insan holi mein
buDhape mein nazar aai KHuda ki shan holi mein
bani hain un se zaid un ki amman jaan holi mein
hasinon se bhara hai rang ka maidan holi mein
meri rakhna tu hi ab aabru bhagwan holi mein
kisi ruKH se koi aashiq nikal kar ja nahin sakta
hasinon ne laga rakkha hai chuhe-dan holi mein
abhi rangin KHali tan hai man bhi lal ho jae
tum apne hath se hum ko khila do pan holi mein
ba-nam-e-rang chhu sakte hain sab ke gore galon ko
wahi mushkil jo kal tak thi wo hai aasan holi mein
sasur se sas se aur saliyon ke baad salon se
gale mil kar nikale jaenge arman holi mein
jawani mein hui shadi buDhape mein hua bachcha
jua khela diwali mein hua chaalan holi mein
sab is surat se khelen rang 'nawak' ek dil ho kar
rahe phir mard aurat ki na kuchh pahchan holi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.