ho gae din jinhen bhulae hue
ho ga.e din jinheñ bhulā.e hue
aaj kal haiñ vo yaad aa.e hue
maiñ ne rāteñ bahut guzārī haiñ
sirf dil kā diyā jalā.e hue
ek usī shaḳhs kā nahīñ mazkūr
ham zamāne ke haiñ satā.e hue
sone aate haiñ log bastī meñ
saare din ke thake-thakā.e hue
muskurā.e baġhair bhī vo hoñT
nazar aate haiñ muskurā.e hue
go falak pe nahīñ palak pe sahī
do sitāre haiñ jagmagā.e hue
ai 'shu.ūr' aur koī baat karo
haiñ ye qisse sune-sunā.e hue
ho gae din jinhen bhulae hue
aaj kal hain wo yaad aae hue
main ne raaten bahut guzari hain
sirf dil ka diya jalae hue
ek usi shaKHs ka nahin mazkur
hum zamane ke hain satae hue
sone aate hain log basti mein
sare din ke thake-thakae hue
muskurae baghair bhi wo honT
nazar aate hain muskurae hue
go falak pe nahin palak pe sahi
do sitare hain jagmagae hue
ai 'shuur' aur koi baat karo
hain ye qisse sune-sunae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.