ho chuke gum sare KHadd-o-Khaal manzar aur main
ho chuke gum saare ḳhadd-o-ḳhāl manzar aur maiñ
phir hue ek āsmāñ sāhil samundar aur maiñ
ek harf-e-rāz dil par aa.ina hotā huā
ik kohar chhā.ī huī manzar-ba-manzar aur maiñ
chheḌ kar jaise guzar jaatī hai doshīza havā
der se ḳhāmosh hai gahrā samundar aur maiñ
kis qadar ik dūsre se lagte haiñ mānūs 'zeb'
nāriyal ke peḌ ye sāhil ke patthar aur maiñ
ho chuke gum sare KHadd-o-KHal manzar aur main
phir hue ek aasman sahil samundar aur main
ek harf-e-raaz dil par aaina hota hua
ek kohar chhai hui manzar-ba-manzar aur main
chheD kar jaise guzar jati hai doshiza hawa
der se KHamosh hai gahra samundar aur main
kis qadar ek dusre se lagte hain manus 'zeb'
nariyal ke peD ye sahil ke patthar aur main
- Book : zartaab (Pg. 17)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.