hawa mein uDta koi KHanjar jata hai
havā meñ uḌtā koī ḳhanjar jaatā hai
sar ūñchā kartā huuñ to sar jaatā hai
dhuup itnī hai band huī jaatī hai aañkh
aur palak jhapkūñ to manzar jaatā hai
andar andar khokhle ho jaate haiñ ghar
jab dīvāroñ meñ paanī bhar jaatā hai
chhā jaatā hai dasht o dar par shaam Dhale
phir dil meñ sab sannāTā bhar jaatā hai
'zeb' yahāñ paanī kī koī thaah nahīñ
kitnī gahrā.ī meñ patthar jaatā hai
hawa mein uDta koi KHanjar jata hai
sar uncha karta hun to sar jata hai
dhup itni hai band hui jati hai aankh
aur palak jhapkun to manzar jata hai
andar andar khokhle ho jate hain ghar
jab diwaron mein pani bhar jata hai
chha jata hai dasht o dar par sham Dhale
phir dil mein sab sannaTa bhar jata hai
'zeb' yahan pani ki koi thah nahin
kitni gahrai mein patthar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.