tu qarib aae to qurbat ka yun izhaar karun
tū qarīb aa.e to qurbat kā yuuñ iz.hār karūñ
aa.ina sāmne rakh kar tirā dīdār karūñ
sāmne tere karūñ haar kā apnī elaan
aur akele meñ tirī jiit se inkār karūñ
pahle sochūñ use phir us kī banā.ūñ tasvīr
aur phir us meñ hī paidā dar-o-dīvār karūñ
mire qabze meñ na miTTī hai na bādal na havā
phir bhī chāhat hai ki har shāḳh samar-bār karūñ
sub.h hote hī ubhar aatī hai sālim ho kar
vahī dīvār jise roz maiñ mismār karūñ
tu qarib aae to qurbat ka yun izhaar karun
aaina samne rakh kar tera didar karun
samne tere karun haar ka apni elan
aur akele mein teri jit se inkar karun
pahle sochun use phir us ki banaun taswir
aur phir us mein hi paida dar-o-diwar karun
mere qabze mein na miTTi hai na baadal na hawa
phir bhi chahat hai ki har shaKH samar-bar karun
subh hote hi ubhar aati hai salim ho kar
wahi diwar jise roz main mismar karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.