tum bhaTak jao to kuchh zauq-e-safar aa jaega
tum bhaTak jaao to kuchh zauq-e-safar aa jā.egā
muḳhtalif rastoñ pe chalne kā hunar aa jā.egā
maiñ ḳhalā meñ dekhtā rahtā huuñ is ummīd par
ek din mujh ko achānak tū nazar aa jā.egā
tez itnā hī agar chalnā hai tanhā jaao tum
baat puurī bhī na hogī aur ghar aa jā.egā
ye makāñ girtā huā jab chhoḌ jā.eñge makīñ
ik parinda baiThne dīvār par aa jā.egā
koī merī muḳhbirī kartā rahegā aur phir
jurm kī taftīsh karne be-ḳhabar aa jā.egā
ho gayā miTTī agar merā pasīna suukh kar
dekhnā mere daraḳhtoñ par samar aa jā.egā
bandagī meñ ishq sī dīvāngī paidā karo
ek dam 'āsim' duāoñ meñ asar aa jā.egā
tum bhaTak jao to kuchh zauq-e-safar aa jaega
muKHtalif raston pe chalne ka hunar aa jaega
main KHala mein dekhta rahta hun is ummid par
ek din mujh ko achanak tu nazar aa jaega
tez itna hi agar chalna hai tanha jao tum
baat puri bhi na hogi aur ghar aa jaega
ye makan girta hua jab chhoD jaenge makin
ek parinda baiThne diwar par aa jaega
koi meri muKHbiri karta rahega aur phir
jurm ki taftish karne be-KHabar aa jaega
ho gaya miTTi agar mera pasina sukh kar
dekhna mere daraKHton par samar aa jaega
bandagi mein ishq si diwangi paida karo
ek dam 'asim' duaon mein asar aa jaega
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 35)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.