hum to kahte the dam-e-aKHir zara susta na ja
hum to kahte the dam-e-aKHir zara susta na ja
Jurat Qalandar Bakhsh
MORE BYJurat Qalandar Bakhsh
ham to kahte the dam-e-āḳhir zarā sustā na jā
le, chale ham jaan se, muḳhtār hai ab jā na jā
le dil-e-betāb aatā hai vo kar le arz-e-hāl
dekhte hī us kī sūrat is qadar ghabrā na jā
tañg ho kar kis adā se vasl kī shab ko vo shoḳh
mujh se kahtā thā ki he he is qadar lipTā na jā
paas aanā gar nahīñ manzūr to aa aa ke shakl
az-rah-e-shoḳhī mujhe tū duur se dikhlā na jā
jā.ūñ jā.ūñ kyā kahe hai bas laḌā.ī ho chukī
pyaar se mere gale ab jān-e-jāñ lag jā na jā
kyā samāñ rakhtā hai vo mahfil se uThnā yaar kā
aur ishāroñ se mirā kahnā ki aa jānā, na jā
kahte haiñ aatā hai vo ai jaan bar-lab-āmada
tū ḳhudā ke vāste Tuk aur bhī rah jā na jā
ruuTh kar jab mujh se vo jaatā hai to kar zabt-e-āh
pahle to kahtā huuñ maiñ ''tū jaan ab jā yā na jaa''
lek uTh kar jab vo jaatā hai to be-tābī se maiñ
vuuñ hī kahtā huuñ ''tire qurbān jā.ūñ aa, na jaa''
loTtā hai 'jur.at'-e-betāb jaane se tire
yuuñ use taḌpā ke tū ai shoḳh-e-be-parvā, na jā
hum to kahte the dam-e-aKHir zara susta na ja
le, chale hum jaan se, muKHtar hai ab ja na ja
le dil-e-betab aata hai wo kar le arz-e-haal
dekhte hi us ki surat is qadar ghabra na ja
tang ho kar kis ada se wasl ki shab ko wo shoKH
mujh se kahta tha ki he he is qadar lipTa na ja
pas aana gar nahin manzur to aa aa ke shakl
az-rah-e-shoKHi mujhe tu dur se dikhla na ja
jaun jaun kya kahe hai bas laDai ho chuki
pyar se mere gale ab jaan-e-jaan lag ja na ja
kya saman rakhta hai wo mahfil se uThna yar ka
aur ishaaron se mera kahna ki aa jaana, na ja
kahte hain aata hai wo ai jaan bar-lab-amada
tu KHuda ke waste Tuk aur bhi rah ja na ja
ruTh kar jab mujh se wo jata hai to kar zabt-e-ah
pahle to kahta hun main tu jaan ab ja ya na ja
lek uTh kar jab wo jata hai to be-tabi se main
wun hi kahta hun tire qurban jaun aa, na ja
loTta hai 'jurat'-e-betab jaane se tere
yun use taDpa ke tu ai shoKH-e-be-parwa, na ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.