hum bahr-e-haal dil o jaan se tumhaare hote
ham bahar haal dil o jaañ se tumhāre hote
tum bhī ik-ādh ghaḌī kaash hamāre hote
aks paanī meñ mohabbat ke utāre hote
ham jo baiThe hue dariyā ke kināre hote
jo mah o saal guzāre haiñ bichhaḌ kar ham ne
vo mah o saal agar saath guzāre hote
kyā abhī biich meñ dīvār koī baaqī hai
kaun sā ġham hai bhalā tum ko hamāre hote
aap to aap haiñ ḳhāliq bhī hamārā hotā
ham zarūrat meñ kisī ko na pukāre hote
saath ahbāb ke hāsid bhī zarūrī haiñ 'adīm'
ham suḳhan apnā sunāte jahāñ saare hote
hum bahar haal dil o jaan se tumhaare hote
tum bhi ik-adh ghaDi kash hamare hote
aks pani mein mohabbat ke utare hote
hum jo baiThe hue dariya ke kinare hote
jo mah o sal guzare hain bichhaD kar hum ne
wo mah o sal agar sath guzare hote
kya abhi bich mein diwar koi baqi hai
kaun sa gham hai bhala tum ko hamare hote
aap to aap hain KHaliq bhi hamara hota
hum zarurat mein kisi ko na pukare hote
sath ahbab ke hasid bhi zaruri hain 'adim'
hum suKHan apna sunate jahan sare hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.