be-kaif jawani hai be-dard zamana hai
be-kaif javānī hai be-dard zamāna hai
nākām-e-mohabbat kā itnā hī fasāna hai
sāvan kā mahīna hai mausam bhī suhānā hai
aa jaao jo aanā hai aa jaao jo aanā hai
ai kaash koī kah de us chashm-e-fusūñ-gar se
nazroñ kā churānā hī nazroñ kā milānā hai
āġhāz-e-mohabbat se anjām-e-mohabbat tak
''ik aag kā dariyā hai aur Duub ke jaanā hai''
be-kaif jawani hai be-dard zamana hai
nakaam-e-mohabbat ka itna hi fasana hai
sawan ka mahina hai mausam bhi suhana hai
aa jao jo aana hai aa jao jo aana hai
ai kash koi kah de us chashm-e-fusun-gar se
nazron ka churana hi nazron ka milana hai
aaghaz-e-mohabbat se anjam-e-mohabbat tak
ik aag ka dariya hai aur Dub ke jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.