hasad ki aag thi aur dagh dagh sina tha
hasad kī aag thī aur daaġh daaġh siina thā
diloñ se dhul na sakā vo ġhubār-e-kīna thā
zarā sī Thes lagī thī ki chuur chuur huā
tire ḳhayāl kā paikar bhī ābgīna thā
ravāñ thī koī talab sī lahū ke dariyā meñ
ki mauj mauj bhañvar umr kā safīna thā
vo jāntā thā magar phir bhī be-ḳhabar hī rahā
ajiib taur thā us kā ajab qarīna thā
bahut qarīb se guzre magar ḳhabar na huī
ki ujḌe shahr kī dīvār meñ dafīna thā
hasad ki aag thi aur dagh dagh sina tha
dilon se dhul na saka wo ghubar-e-kina tha
zara si Thes lagi thi ki chur chur hua
tere KHayal ka paikar bhi aabgina tha
rawan thi koi talab si lahu ke dariya mein
ki mauj mauj bhanwar umr ka safina tha
wo jaanta tha magar phir bhi be-KHabar hi raha
ajib taur tha us ka ajab qarina tha
bahut qarib se guzre magar KHabar na hui
ki ujDe shahr ki diwar mein dafina tha
- Book : Gil-e-Lajvard (Pg. 99)
- Author : Khaleel Tanveer
- Publication : Al-asr Publications, Ahmedabad (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.