harf lafzon ki taraf lafz maani ki taraf
harf lafzoñ kī taraf lafz ma.ānī kī taraf
lauT aa.e sabhī kirdār kahānī kī taraf
us se kahnā ki dhuāñ dekhne laa.eq hogā
aag pahne hue jā.uñgā maiñ paanī kī taraf
pahle misre meñ tujhe soch liyā ho jis ne
jaanā paḌtā hai use misra-e-sānī kī taraf
dil vo dariyā hai mire sīna-e-ḳhālī meñ ki ab
dhyān jaatā hī nahīñ jis ki ravānī kī taraf
harf lafzon ki taraf lafz maani ki taraf
lauT aae sabhi kirdar kahani ki taraf
us se kahna ki dhuan dekhne laeq hoga
aag pahne hue jaunga main pani ki taraf
pahle misre mein tujhe soch liya ho jis ne
jaana paDta hai use misra-e-sani ki taraf
dil wo dariya hai mere sina-e-KHali mein ki ab
dhyan jata hi nahin jis ki rawani ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.