har shai hai pur-malal baDi tez dhup hai
har shai hai pur-malāl baḌī tez dhuup hai
har lab pe hai savāl baḌī tez dhuup hai
chakrā ke gir na jā.ūñ maiñ is tez dhuup meñ
mujh ko zarā sambhāl baḌī tez dhuup hai
de hukm bādaloñ ko ḳhayābāñ-nashīn huuñ
jām-o-subū uchhāl baḌī tez dhuup hai
mumkin hai abr-e-rahmat-e-yazdāñ baras paḌe
zulfoñ kī chhāñv Daal baḌī tez dhuup hai
ab shahr-e-ārzū meñ vo ra.anā.iyāñ kahāñ
haiñ gul-kade niDhāl baḌī tez dhuup hai
samjhī hai jis ko sāya-e-ummīd aql-e-ḳhām
'sāġhar' kā hai ḳhayāl baḌī tez dhuup hai
har shai hai pur-malal baDi tez dhup hai
har lab pe hai sawal baDi tez dhup hai
chakra ke gir na jaun main is tez dhup mein
mujh ko zara sambhaal baDi tez dhup hai
de hukm baadalon ko KHayaban-nashin hun
jam-o-subu uchhaal baDi tez dhup hai
mumkin hai abr-e-rahmat-e-yazdan baras paDe
zulfon ki chhanw Dal baDi tez dhup hai
ab shahr-e-arzu mein wo ranaiyan kahan
hain gul-kade niDhaal baDi tez dhup hai
samjhi hai jis ko saya-e-ummid aql-e-KHam
'saghar' ka hai KHayal baDi tez dhup hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.