har phul hai hawaon ke ruKH par khila hua
har phuul hai havāoñ ke ruḳh par khilā huā
aur meñ huuñ apne ḳhvāb ke andar khilā huā
ye maiñ jo raat din nahīñ apne havās meñ
vo baaġh hai zarūr kahīñ par khilā huā
kuchh mere sar ko bhī thī mahak sī chaḌhī huī
kuchh vo bhī sāmne thā barābar khilā huā
ḳhvāboñ meñ ḳhushbueñ sī ḳhayāloñ meñ rañg se
ye baaġh ho agar kahīñ bāhar khilā huā
kin manzaroñ meñ mujh ko mahaknā thā 'āftāb'
kis regzār par huuñ maiñ aa kar khilā huā
har phul hai hawaon ke ruKH par khila hua
aur mein hun apne KHwab ke andar khila hua
ye main jo raat din nahin apne hawas mein
wo bagh hai zarur kahin par khila hua
kuchh mere sar ko bhi thi mahak si chaDhi hui
kuchh wo bhi samne tha barabar khila hua
KHwabon mein KHushbuen si KHayalon mein rang se
ye bagh ho agar kahin bahar khila hua
kin manzaron mein mujh ko mahakna tha 'aftab'
kis regzar par hun main aa kar khila hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.