har maslak har maktab ishq nahin hota
har maslak har maktab ishq nahīñ hotā
sab logoñ kā maz.hab ishq nahīñ hotā
jism jahāñ ho vo sab ishq nahīñ hotā
ham se aisā be-Dhab ishq nahīñ hotā
un ko mere bhīge takiye dikhlā do
jo ye kahte haiñ ab ishq nahīñ hotā
hamdardī ko hamdardī samjhā jaa.e
har jazbe kā matlab ishq nahīñ hotā
sardī aur garmī ke uzr nahīñ chalte
mausam dekh ke sāhab ishq nahīñ hotā
har maslak har maktab ishq nahin hota
sab logon ka mazhab ishq nahin hota
jism jahan ho wo sab ishq nahin hota
hum se aisa be-Dhab ishq nahin hota
un ko mere bhige takiye dikhla do
jo ye kahte hain ab ishq nahin hota
hamdardi ko hamdardi samjha jae
har jazbe ka matlab ishq nahin hota
sardi aur garmi ke uzr nahin chalte
mausam dekh ke sahab ishq nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.