har ek jhonka nukila ho gaya hai
har ik jhoñkā nukīlā ho gayā hai
fazā kā rang niilā ho gayā hai
abhī do chaar hī būñdeñ girīñ haiñ
magar mausam nashīlā ho gayā hai
kareñ kyā dil usī ko māñgtā hai
ye saalā bhī haTīlā ho gayā hai
ḳhabar kyā thī ki nekī bāñjh hogī
badī kā to qabīla ho gayā hai
ḳhudā rakkhe javānī aa ga.ī hai
gunah bāñkā-sajīlā ho gayā hai
na jaane chhat pe kyā dekhā thā 'alvī'
bechārā chāñd piilā ho hai
har ek jhonka nukila ho gaya hai
faza ka rang nila ho gaya hai
abhi do chaar hi bunden girin hain
magar mausam nashila ho gaya hai
karen kya dil usi ko mangta hai
ye sala bhi haTila ho gaya hai
KHabar kya thi ki neki banjh hogi
badi ka to qabila ho gaya hai
KHuda rakkhe jawani aa gai hai
gunah banka-sajila ho gaya hai
na jaane chhat pe kya dekha tha 'alwi'
bechaara chand pila ho hai
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 83)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.