har ek shaKHs ko ek tantane mein rakhti hai
har ek shaḳhs ko ik tantane meñ rakhtī hai
vo bhāñt bhāñt kī machhlī ghaḌe meñ rakhtī hai
tamām shahr ke dānishvaroñ ko vo zālim
asīr-e-zulf kiye āsare meñ rakhtī hai
vo gāliyāñ bhī agar de to sher-o-naġhma lage
zabāñ meñ loch ajab sur gale meñ rakhtī hai
use sharāb-e-tuhūrā kā tazkira bhī gunāh
ye baat aur hai sab ko nashe meñ rakhtī hai
har ik ko dard kī lazzat se āshnā kar ke
maze meñ rahtī hai sab ko maze meñ rakhtī hai
samajh ke haq vo har ehsān bhuul jaatī hai
magar har ek ḳhatā hāfize meñ rakhtī hai
use ḳhabar hai ki anjām-e-vasl kyā hogā
vo qurbatoñ kī tapish fāsle meñ rakhtī hai
sukūñ ke saa.e meñ shāyad use bhulā baiThe
mudām shahr ko ik zalzale meñ rakhtī hai
har ek shaKHs ko ek tantane mein rakhti hai
wo bhant bhant ki machhli ghaDe mein rakhti hai
tamam shahr ke danishwaron ko wo zalim
asir-e-zulf kiye aasare mein rakhti hai
wo galiyan bhi agar de to sher-o-naghma lage
zaban mein loch ajab sur gale mein rakhti hai
use sharab-e-tuhura ka tazkira bhi gunah
ye baat aur hai sab ko nashe mein rakhti hai
har ek ko dard ki lazzat se aashna kar ke
maze mein rahti hai sab ko maze mein rakhti hai
samajh ke haq wo har ehsan bhul jati hai
magar har ek KHata hafize mein rakhti hai
use KHabar hai ki anjam-e-wasl kya hoga
wo qurbaton ki tapish fasle mein rakhti hai
sukun ke sae mein shayad use bhula baiThe
mudam shahr ko ek zalzale mein rakhti hai
- Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 313)
- Author : Dr. Jawaz Jafri
- Publication : Kitab Saray, Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.