Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek rup hai us ka paheliyon ki tarah

Khaqan Khavar

har ek rup hai us ka paheliyon ki tarah

Khaqan Khavar

MORE BYKhaqan Khavar

    har ek ruup hai us paheliyoñ tarah

    khule na mujh pe vo ujḌī haveliyoñ tarah

    ye rañg rañg parinde ham se achchhe haiñ

    jo ik daraḳht pe rahte haiñ beliyoñ tarah

    sunahrī dhuup meñ baiThī hoñ mil ke jab chiḌiyāñ

    to chahchahātī haiñ alhaḌ saheliyoñ tarah

    uThā ke haath duā.eñ na maañg bārish

    falak bhī ḳhushk hai terī hatheliyoñ tarah

    ujaḌ gayā hai magar raas rut badalne se

    kabhī mahaktā thā 'ḳhāvar' chambeliyoñ tarah

    har ek rup hai us ka paheliyon ki tarah

    khule na mujh pe wo ujDi haweliyon ki tarah

    ye rang rang parinde hi hum se achchhe hain

    jo ek daraKHt pe rahte hain beliyon ki tarah

    sunahri dhup mein baiThi hon mil ke jab chiDiyan

    to chahchahati hain alhaD saheliyon ki tarah

    uTha ke hath duaen na mang barish ki

    falak bhi KHushk hai teri hatheliyon ki tarah

    ujaD gaya hai magar ras rut badalne se

    kabhi mahakta tha 'KHawar' chambeliyon ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now