har-chand gam gam hawadis safar mein hain
har-chand gaam gaam havādis safar meñ haiñ
vo ḳhush-nasīb haiñ jo tirī rahguzar meñ haiñ
tākīd-e-zabt ahd-e-vafā izn-e-zindagī
kitne payām ik nigah-e-muḳhtasar meñ haiñ
maazī sharīk-e-hāl hai koshish ke bāvajūd
dhuñdle se kuchh nuqūsh abhī tak nazar meñ haiñ
lillāh is ḳhulūs se pursish na kījiye
tūfān kab se band mirī chashm-e-tar meñ haiñ
manzil to ḳhush-nasīboñ meñ taqsīm ho chukī
kuchh ḳhush-ḳhayāl log abhī tak safar meñ haiñ
mahfil meñ un kī samt nigāheñ na uTh sakīñ
ham bil-ḳhusūs ahl-e-nazar kī nazar meñ haiñ
ye kaise rāh-rau the ki har naqsh-e-pā ke saath
sajdoñ ke kuchh nishān bhī is rahguzar meñ haiñ
har-chand gam gam hawadis safar mein hain
wo KHush-nasib hain jo teri rahguzar mein hain
takid-e-zabt ahd-e-wafa izn-e-zindagi
kitne payam ek nigah-e-muKHtasar mein hain
mazi sharik-e-haal hai koshish ke bawajud
dhundle se kuchh nuqush abhi tak nazar mein hain
lillah is KHulus se pursish na kijiye
tufan kab se band meri chashm-e-tar mein hain
manzil to KHush-nasibon mein taqsim ho chuki
kuchh KHush-KHayal log abhi tak safar mein hain
mahfil mein un ki samt nigahen na uTh sakin
hum bil-KHusus ahl-e-nazar ki nazar mein hain
ye kaise rah-rau the ki har naqsh-e-pa ke sath
sajdon ke kuchh nishan bhi is rahguzar mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.