hamein saliqa na aaya jahan mein jine ka
hameñ salīqa na aayā jahāñ meñ jiine kā
kabhī kiyā na koī kaam bhī qarīne kā
tumhāre saath hī us ko bhī Duub jaanā hai
ye jāntā hai musāfir tire safīne kā
kuchh us kā saath nibhānā muhāl thā yuuñ bhī
hamārā apnā thā andāz ek jiine kā
saḳhāvatoñ ne gohar-sāz kar diyā hai unheñ
koī sadaf nahīñ mohtāj ābgīne kā
hamein saliqa na aaya jahan mein jine ka
kabhi kiya na koi kaam bhi qarine ka
tumhaare sath hi us ko bhi Dub jaana hai
ye jaanta hai musafir tere safine ka
kuchh us ka sath nibhana muhaal tha yun bhi
hamara apna tha andaz ek jine ka
saKHawaton ne gohar-saz kar diya hai unhen
koi sadaf nahin mohtaj aabgine ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.