hum tohfe mein ghaDiyan to de dete hain
ham tohfe meñ ghaḌiyāñ to de dete haiñ
ik duuje ko vaqt nahīñ de paate haiñ
āñkheñ black-and-white haiñ to phir in meñ kyuuñ
rañg-birañge ḳhvāb kahāñ se aate haiñ
ḳhvāboñ kī miTTī se bane do kūzoñ meñ
do dariyā haiñ aur ikaTThe bahte haiñ
chhoḌo jaao kaun kahāñ kī shahzādī
shahzādī ke haath meñ chhāle hote haiñ
dard ko is se koī farq nahīñ paḌtā
ham be-kār hurūf ulaTte rahte haiñ
hum tohfe mein ghaDiyan to de dete hain
ek duje ko waqt nahin de pate hain
aankhen black-and-white hain to phir in mein kyun
rang-birange KHwab kahan se aate hain
KHwabon ki miTTi se bane do kuzon mein
do dariya hain aur ikaTThe bahte hain
chhoDo jao kaun kahan ki shahzadi
shahzadi ke hath mein chhaale hote hain
dard ko is se koi farq nahin paDta
hum be-kar huruf ulaTte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.