hum to bachpan mein bhi akele the
ham to bachpan meñ bhī akele the
sirf dil kī galī meñ khele the
ik taraf morche the palkoñ ke
ik taraf āñsuoñ ke rele the
thiiñ sajī hasrateñ dukānoñ par
zindagī ke ajiib mele the
ḳhud-kushī kyā dukhoñ kā hal bantī
maut ke apne sau jhamele the
zehn o dil aaj bhūke marte haiñ
un dinoñ ham ne faaqe jhele the
hum to bachpan mein bhi akele the
sirf dil ki gali mein khele the
ek taraf morche the palkon ke
ek taraf aansuon ke rele the
thin saji hasraten dukanon par
zindagi ke ajib mele the
KHud-kushi kya dukhon ka hal banti
maut ke apne sau jhamele the
zehn o dil aaj bhuke marte hain
un dinon hum ne faqe jhele the
- Book : tarkash, (Pg. 44)
- Author : jaaved aKHtar
- Publication : Satar publication (p)ltd (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.