hum na nikhat hain na gul hain jo mahakte jawen
ham na nik.hat haiñ na gul haiñ jo mahakte jāveñ
aag kī tarah jidhar jāveñ dahakte jāveñ
ai ḳhushā-mast ki tābūt ke aage jis ke
āb-pāshī ke badal mai ko chhiḌakte jāveñ
jo koī aave hai nazdīk hī baiThe hai tire
ham kahāñ tak tire pahlū se sarakte jāveñ
ġhair ko raah ho ghar meñ tire sub.hān-allāh
aur ham duur se dar ko tire takte jāveñ
vaqt ab vo hai ki ik ek 'hasan' ho ke ba-tañg
sabr-o-tāb o ḳhirad-o-hosh khisakte jāveñ
hum na nikhat hain na gul hain jo mahakte jawen
aag ki tarah jidhar jawen dahakte jawen
ai KHusha-mast ki tabut ke aage jis ke
aab-pashi ke badal mai ko chhiDakte jawen
jo koi aawe hai nazdik hi baiThe hai tere
hum kahan tak tere pahlu se sarakte jawen
ghair ko rah ho ghar mein tere subhan-allah
aur hum dur se dar ko tere takte jawen
waqt ab wo hai ki ek ek 'hasan' ho ke ba-tang
sabr-o-tab o KHirad-o-hosh khisakte jawen
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.