hum ho gae shahid ye eazaz to mila
ham ho ga.e shahīd ye e.azāz to milā
ahl-e-junūñ ko nukta-e-āġhāz to milā
ham ko jo san rahā hai vo muḳhbir sahī magar
mahfil meñ koī gosh-bar-āvāz to milā
vo kārvān-e-shab kā huā āḳhirī charāġh
lo shaiḳh ko ye mansab-e-mumtāz to milā
ham auliyā nahīñ the jo dil pherte magar
us ko bhī guftugū kā ik andāz to milā
ham ḳhud hī be-sure the qasīda na paḌh sake
is bazm meñ ishāra-e-āvāz to milā
ḳhālid ye rañg-e-shahr na thā ham se peshtar
sad-shukr kargasoñ ko koī baaz to milā
hum ho gae shahid ye eazaz to mila
ahl-e-junun ko nukta-e-aghaz to mila
hum ko jo san raha hai wo muKHbir sahi magar
mahfil mein koi gosh-bar-awaz to mila
wo karwan-e-shab ka hua aaKHiri charagh
lo shaiKH ko ye mansab-e-mumtaz to mila
hum auliya nahin the jo dil pherte magar
us ko bhi guftugu ka ek andaz to mila
hum KHud hi be-sure the qasida na paDh sake
is bazm mein ishaara-e-awaz to mila
KHalid ye rang-e-shahr na tha hum se peshtar
sad-shukr kargason ko koi baz to mila
- Book : Shora-e-London (Pg. 82)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.