hairat-e-jalwa muqaddar hai to jalwa kya hai
hairat-e-jalva muqaddar hai to jalvā kyā hai
tujh se vābasta hai dil varna tamāshā kyā hai
koī din aur ġham-e-hijr meñ shādāñ ho leñ
abhī kuchh din meñ samajh jā.eñge duniyā kyā hai
dil to ik aur hī āhang pe hai raqs-kunāñ
dil kā is umr-e-faromāya se rishta kyā hai
ham use bhuul chuke haiñ magar ai daur-e-hayāt
sāmne āñkhoñ ke ye sūrat-e-zebā kyā hai
jiine vāloñ se kaho koī tamannā DhūñDeñ
ham to āsūda-e-manzil haiñ hamārā kyā hai
hairat-e-jalwa muqaddar hai to jalwa kya hai
tujh se wabasta hai dil warna tamasha kya hai
koi din aur gham-e-hijr mein shadan ho len
abhi kuchh din mein samajh jaenge duniya kya hai
dil to ek aur hi aahang pe hai raqs-kunan
dil ka is umr-e-faromaya se rishta kya hai
hum use bhul chuke hain magar ai daur-e-hayat
samne aankhon ke ye surat-e-zeba kya hai
jine walon se kaho koi tamanna DhunDen
hum to aasuda-e-manzil hain hamara kya hai
- Book : naqsh-e-bar aab (Pg. 105)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.