hai fasilen uTha raha mujh mein
hai fasīleñ uThā rahā mujh meñ
jaane ye kaun aa rahā mujh meñ
'jaun' mujh ko jilā-vatan kar ke
vo mire bin bhalā rahā mujh meñ
mujh se us ko rahī talāsh-e-umīd
so bahut din chhupā rahā mujh meñ
thā qayāmat sukūt kā āshob
hashr sā ik bapā rahā mujh meñ
pas-e-parda koī na thā phir bhī
ek parda khiñchā rahā mujh meñ
mujh meñ aa ke girā thā ik zaḳhmī
jaane kab tak paḌā rahā mujh meñ
itnā ḳhālī thā andarūñ merā
kuchh dinoñ to ḳhudā rahā mujh meñ
hai fasilen uTha raha mujh mein
jaane ye kaun aa raha mujh mein
'jaun' mujh ko jila-watan kar ke
wo mere bin bhala raha mujh mein
mujh se us ko rahi talash-e-umid
so bahut din chhupa raha mujh mein
tha qayamat sukut ka aashob
hashr sa ek bapa raha mujh mein
pas-e-parda koi na tha phir bhi
ek parda khincha raha mujh mein
mujh mein aa ke gira tha ek zaKHmi
jaane kab tak paDa raha mujh mein
itna KHali tha andarun mera
kuchh dinon to KHuda raha mujh mein
- Book : shaayed (Pg. 140)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.