had-e-nazar se mera aasman hai poshida
had-e-nazar se mirā āsmāñ hai poshīda
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ lipTā jahāñ hai poshīda
chalā maiñ jānib-e-manzil to ye huā ma.alūm
yaqīñ gumān meñ gum hai gumāñ hai poshīda
palak pe aa ke sitāre ne dāstāñ kah dī
jo dil meñ aag hai us kā dhuāñ hai poshīda
ufuq se tā-ba-ufuq hai sarāb phailā huā
aur is sarāb meñ saarā jahāñ hai poshīda
sitāra kyā mujhe aflāk kī ḳhabar degā?
nazar se us kī to merā jahāñ hai poshīda
tū ḳhud hai ḳhār-o-zabūñ hirs-o-āz-e-duniyā meñ
khulegā tujh pe kahāñ jo jahāñ hai poshīda
maiñ aañkh khol ke taktā huuñ duur tak 'anvar'
ki DhūñD luuñ jo mirā āshiyāñ hai poshīda
had-e-nazar se mera aasman hai poshida
KHayal-o-KHwab mein lipTa jahan hai poshida
chala main jaanib-e-manzil to ye hua malum
yaqin guman mein gum hai guman hai poshida
palak pe aa ke sitare ne dastan kah di
jo dil mein aag hai us ka dhuan hai poshida
ufuq se ta-ba-ufuq hai sarab phaila hua
aur is sarab mein sara jahan hai poshida
sitara kya mujhe aflak ki KHabar dega?
nazar se us ki to mera jahan hai poshida
tu KHud hai KHar-o-zabun hirs-o-az-e-duniya mein
khulega tujh pe kahan jo jahan hai poshida
main aankh khol ke takta hun dur tak 'anwar'
ki DhunD lun jo mera aashiyan hai poshida
- Book : Pakistani Adab (Pg. 365)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.