hath se napta hun dard ki gahrai ko
haath se nāptā huuñ dard kī gahrā.ī ko
ye nayā khel milā hai mirī tanhā.ī ko
thā jo siine meñ charāġh-e-dil-e-pur-ḳhūñ na rahā
chāTiye baiTh ke ab sabr-o-shakebā.ī ko
dil-e-afsurda kisī tarah bahaltā hī nahīñ
kyā kareñ aap kī is hausla-afzā.ī ko
ḳhair badnām to pahle bhī bahut the lekin
tujh se milnā thā ki par lag ga.e rusvā.ī ko
nigah-e-nāz na milte hue ghabrā ham se
ham mohabbat nahīñ kahne ke shanāsā.ī ko
dil hai nairangī-e-ayyām pe hairāñ ab tak
itnī sī baat bhī mā'lūm nahīñ bhaa.ī ko
hath se napta hun dard ki gahrai ko
ye naya khel mila hai meri tanhai ko
tha jo sine mein charagh-e-dil-e-pur-KHun na raha
chaTiye baiTh ke ab sabr-o-shakebai ko
dil-e-afsurda kisi tarah bahalta hi nahin
kya karen aap ki is hausla-afzai ko
KHair badnam to pahle bhi bahut the lekin
tujh se milna tha ki par lag gae ruswai ko
nigah-e-naz na milte hue ghabra hum se
hum mohabbat nahin kahne ke shanasai ko
dil hai nairangi-e-ayyam pe hairan ab tak
itni si baat bhi ma'lum nahin bhai ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.