jahan nigar-e-sahar pairahan utarti hai
jahāñ nigār-e-sahar pairahan utārtī hai
vahīñ pe raat sitāroñ kā khel hārtī hai
shab-e-visāl tire dil ke saath lag kar bhī
mirī luTī huī duniyā tujhe pukārtī hai
shumār-e-shauq meñ uljhī huī shuā-e-nazar
hazār rūThte rañgoñ ke ruup dhārtī hai
ufuq se phūTte mahtāb kī mahak jaise
sukūn-e-bahr meñ ik lahar sī ubhārtī hai
pas-e-darīcha-e-dil yād-e-bū-e-jū-e-nashāt
na jaane kab se khaḌī kākuleñ sañvārtī hai
dar-e-umīd se ho kar nikalne lagtā huuñ
to yaas rauzan-e-zindāñ se aañkh mārtī hai
jahāñ se kuchh na mile husn-e-māzarat ke sivā
ye aarzū usī chaukhaT pe shab guzārtī hai
jo ek jism jalātī hai barq-e-abr-e-ḳhayāl
to laakh zañg-zada aa.ine nikhārtī hai
jahan nigar-e-sahar pairahan utarti hai
wahin pe raat sitaron ka khel haarti hai
shab-e-visal tere dil ke sath lag kar bhi
meri luTi hui duniya tujhe pukarti hai
shumar-e-shauq mein uljhi hui shua-e-nazar
hazar ruThte rangon ke rup dhaarti hai
ufuq se phuTte mahtab ki mahak jaise
sukun-e-bahr mein ek lahar si ubhaarti hai
pas-e-daricha-e-dil yaad-e-bu-e-ju-e-nashat
na jaane kab se khaDi kakulen sanwarti hai
dar-e-umid se ho kar nikalne lagta hun
to yas rauzan-e-zindan se aankh marti hai
jahan se kuchh na mile husn-e-mazarat ke siwa
ye aarzu usi chaukhaT pe shab guzarti hai
jo ek jism jalati hai barq-e-abr-e-KHayal
to lakh zang-zada aaine nikhaarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.