mujhko kahaniyan na suna shahr ko bacha
mujh ko kahāniyāñ na sunā shahr ko bachā
bātoñ se merā dil na lubhā shahr ko bachā
mere tahaffuzāt hifāzat se haiñ juḌe
mere tahaffuzāt miTā shahr ko bachā
tū is liye hai shahr kā hākim ki shahr hai
us kī baqā meñ terī baqā shahr ko bachā
tū jaag jā.egā to sabhī jaag jā.eñge
ai shahryār jaag zarā shahr ko bachā
tū chāhtā hai ghar tirā mahfūz ho agar
phir sirf apnā ghar na bachā shahr ko bachā
koī nahīñ bachāne ko aage baḌhā huzūr
har ik ne dūsre se kahā shahr ko bachā
lagtā hai log ab na bachā pā.eñge ise
allāh madad ko tū mirī aa shahr ko bachā
tārīḳh-dān likkhegā 'taimūr' ye zarūr
ik shaḳhs thā jo kahtā rahā shahr ko bachā
mujh ko kahaniyan na suna shahr ko bacha
baaton se mera dil na lubha shahr ko bacha
mere tahaffuzat hifazat se hain juDe
mere tahaffuzat miTa shahr ko bacha
tu is liye hai shahr ka hakim ki shahr hai
us ki baqa mein teri baqa shahr ko bacha
tu jag jaega to sabhi jag jaenge
ai shahryar jag zara shahr ko bacha
tu chahta hai ghar tera mahfuz ho agar
phir sirf apna ghar na bacha shahr ko bacha
koi nahin bachane ko aage baDha huzur
har ek ne dusre se kaha shahr ko bacha
lagta hai log ab na bacha paenge ise
allah madad ko tu meri aa shahr ko bacha
tariKH-dan likkhega 'taimur' ye zarur
ek shaKHs tha jo kahta raha shahr ko bacha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.