koi hindu koi muslim koi isai hai
koī hindū koī muslim koī īsā.ī hai
sab ne insān na banñe kī qasam khaa.ī hai
itnī ḳhūñ-ḳhār na thiiñ pahle ibādat-gāheñ
ye aqīde haiñ ki insān kī tanhā.ī hai
tiin chauthā.ī se zaa.id haiñ jo ābādī meñ
un ke hī vāste har bhuuk hai mahñgā.ī hai
dekhe kab talak baaqī rahe saj-dhaj us kī
aaj jis chehra se tasvīr utarvā.ī hai
ab nazar aatā nahīñ kuchh bhī dukānoñ ke sivā
ab na bādal haiñ na chiḌiyāñ haiñ na purvā.ī hai
koi hindu koi muslim koi isai hai
sab ne insan na banne ki qasam khai hai
itni KHun-KHar na thin pahle ibaadat-gahen
ye aqide hain ki insan ki tanhai hai
tin chauthai se zaid hain jo aabaadi mein
un ke hi waste har bhuk hai mahngai hai
dekhe kab talak baqi rahe saj-dhaj us ki
aaj jis chehra se taswir utarwai hai
ab nazar aata nahin kuchh bhi dukanon ke siwa
ab na baadal hain na chiDiyan hain na purwai hai
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 632)
- Author : Shahid Mahili
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.