kala ambar pili dharti ya allah
kaalā ambar piilī dhartī yā allāh
hā-hā he-he hī-hī-hī-hī yā allāh
kargil aur kashmīr hī tere naam hoñ kyuuñ
bhaa.ī bahan mahbūba beTī yā allāh
piir payambar ko ab aur na zahmat de
chūlhā chakkī roTī sabzī yā allāh
ghī misrī bhī bhej kabhī aḳhbāroñ meñ
ka.ī dinoñ se chaa.e hai kaḌvī yā allāh
tū hī phuul sitārā sāvan hariyālī
aur kabhī tū nagasaki yā allāh
kala ambar pili dharti ya allah
ha-ha he-he hi-hi-hi-hi ya allah
kargil aur kashmir hi tere nam hon kyun
bhai bahan mahbuba beTi ya allah
pir payambar ko ab aur na zahmat de
chulha chakki roTi sabzi ya allah
ghi misri bhi bhej kabhi aKHbaron mein
kai dinon se chae hai kaDwi ya allah
tu hi phul sitara sawan hariyali
aur kabhi tu nagasaki ya allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.