Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achchhe din kab aaenge

Mohammad Alvi

achchhe din kab aaenge

Mohammad Alvi

MORE BYMohammad Alvi

    achchhe din kab ā.eñge

    kyā yuuñ mar jā.eñge

    apne-āp ko ḳhvāboñ se

    kab tak ham bahlā.eñge

    bamba.ī meñ Thahreñge kahāñ

    dillī meñ kyā khā.eñge

    khilte haiñ to khilne do

    phuul abhī murjhā.eñge

    kitnī achchhī laḌkī hai

    barsoñ bhuul na pā.eñge

    maut na aa.ī to 'alvī'

    chhuTTī meñ ghar jā.eñge

    achchhe din kab aaenge

    kya yun hi mar jaenge

    apne-ap ko KHwabon se

    kab tak hum bahlaenge

    bambai mein Thahrenge kahan

    dilli mein kya khaenge

    khilte hain to khilne do

    phul abhi murjhaenge

    kitni achchhi laDki hai

    barson bhul na paenge

    maut na aai to 'alwi'

    chhuTTi mein ghar jaenge

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mohammad Alvi

    Mohammad Alvi

    Source :
    • Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 85)
    • Author : Mohammad Alvi
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now