guftugu ho dabi zaban bahut
guftugū ho dabī zabān bahut
haiñ lagā.e raqīb kaan bahut
kyuuñ na gardish uThā.e jaan bahut
ek maiñ aur āsmān bahut
gāliyoñ kī ravish ko kam kiije
aap kī chaltī hai zabān bahut
dil kaleje dimāġh siina o chashm
in ke rahne ke haiñ makān bahut
maah sā ruḳh 'saḳhī' ko dikhlāyā
aaj to the vo mehrbān bahut
guftugu ho dabi zaban bahut
hain lagae raqib kan bahut
kyun na gardish uThae jaan bahut
ek main aur aasman bahut
galiyon ki rawish ko kam kije
aap ki chalti hai zaban bahut
dil kaleje dimagh sina o chashm
in ke rahne ke hain makan bahut
mah sa ruKH 'saKHi' ko dikhlaya
aaj to the wo mehrban bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.