go kaThin hai tai karna umr ka safar tanha
go kaThin hai tai karnā umr kā safar tanhā
lauT kar na dekhūñgā chal paḌā agar tanhā
sach hai umr bhar kis kā kaun saath detā hai
ġham bhī ho gayā ruḳhsat dil ko chhoḌ kar tanhā
aadmī ko gumrāhī le ga.ī sitāroñ tak
rah ga.e bayābāñ meñ hazrat-e-ḳhizar tanhā
hai to vaj.h-e-rusvā.ī merī hamrahī lekin
rāstoñ meñ ḳhatra hai jāoge kidhar tanhā
ai 'shu.ūr' is ghar meñ is bhare-pure ghar meñ
tujh sā zinda-dil tanhā aur is qadar tanhā
go kaThin hai tai karna umr ka safar tanha
lauT kar na dekhunga chal paDa agar tanha
sach hai umr bhar kis ka kaun sath deta hai
gham bhi ho gaya ruKHsat dil ko chhoD kar tanha
aadmi ko gumrahi le gai sitaron tak
rah gae bayaban mein hazrat-e-KHizar tanha
hai to wajh-e-ruswai meri hamrahi lekin
raston mein KHatra hai jaoge kidhar tanha
ai 'shuur' is ghar mein is bhare-pure ghar mein
tujh sa zinda-dil tanha aur is qadar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.