girja mein mandiron mein azanon mein baT gaya
girjā meñ mandiroñ meñ azānoñ meñ baT gayā
hote hī sub.h aadmī ḳhānoñ meñ baT gayā
ik 'ishq naam kā jo parinda ḳhalā meñ thā
utrā jo shahr meñ to dukānoñ meñ baT gayā
pahle talāshā khet phir dariyā kī khoj kī
baaqī kā vaqt gehūñ ke dānoñ meñ baT gayā
jab tak thā āsmān meñ sūraj sabhī kā thā
phir yuuñ huā vo chand makānoñ meñ baT gayā
haiñ taak meñ shikārī nishāna haiñ bastiyāñ
'ālam tamām chand machānoñ meñ baT gayā
ḳhabroñ ne kī musavvarī ḳhabreñ ġhazal banīñ
zinda lahū to tiir kamānoñ meñ baT gayā
girja mein mandiron mein azanon mein baT gaya
hote hi subh aadmi KHanon mein baT gaya
ek 'ishq nam ka jo parinda KHala mein tha
utra jo shahr mein to dukanon mein baT gaya
pahle talasha khet phir dariya ki khoj ki
baqi ka waqt gehun ke danon mein baT gaya
jab tak tha aasman mein suraj sabhi ka tha
phir yun hua wo chand makanon mein baT gaya
hain tak mein shikari nishana hain bastiyan
'alam tamam chand machanon mein baT gaya
KHabron ne ki musawwari KHabren ghazal banin
zinda lahu to tir kamanon mein baT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.