ghar to hamara shoalon ke narghe mein aa gaya
ghar to hamārā sho.aloñ ke narġhe meñ aa gayā
lekin tamām shahr ujāle meñ aa gayā
ye bhī rahā hai kūcha-e-jānāñ meñ apnā rañg
aahaT huī to chāñd darīche meñ aa gayā
hoñToñ pe ġhībatoñ kī ḳharāsheñ liye hue
ye kaun ā.inoñ ke qabīle meñ aa gayā
āñdhī bhī bachpane kī hadoñ se guzar ga.ī
mujh ko bhī lutf sham.a jalāne meñ aa gayā
kuchh der tak to us se mirī guftugū rahī
phir ye huā ki vo mire lahje meñ aa gayā
ghar to hamara shoalon ke narghe mein aa gaya
lekin tamam shahr ujale mein aa gaya
ye bhi raha hai kucha-e-jaanan mein apna rang
aahaT hui to chand dariche mein aa gaya
honTon pe ghibaton ki KHarashen liye hue
ye kaun aainon ke qabile mein aa gaya
aandhi bhi bachpane ki hadon se guzar gai
mujh ko bhi lutf shama jalane mein aa gaya
kuchh der tak to us se meri guftugu rahi
phir ye hua ki wo mere lahje mein aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.