ghar se nikle the hausla kar ke
ghar se nikle the hausla kar ke
lauT aa.e ḳhudā ḳhudā kar ke
dard-e-dil pāoge vafā kar ke
ham ne dekhā hai tajraba kar ke
log sunte rahe dimāġh kī baat
ham chale dil ko rahnumā kar ke
kis ne paayā sukūn duniyā meñ
zindagānī kā sāmnā kar ke
zindagī to kabhī nahīñ aa.ī
maut aa.ī zarā zarā kar ke
ghar se nikle the hausla kar ke
lauT aae KHuda KHuda kar ke
dard-e-dil paoge wafa kar ke
hum ne dekha hai tajraba kar ke
log sunte rahe dimagh ki baat
hum chale dil ko rahnuma kar ke
kis ne paya sukun duniya mein
zindagani ka samna kar ke
zindagi to kabhi nahin aai
maut aai zara zara kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.