ghar ka rasta jo bhul jata hun
ghar kā rasta jo bhuul jaatā huuñ
kyā batā.ūñ kahāñ se aatā huuñ
zehn meñ ḳhvāb ke mahal kī tarah
ḳhud hī bantā huuñ TuuT jaatā huuñ
aaj bhī shām-e-ġham! udaas na ho
maañg kar maiñ charāġh laatā huuñ
maiñ to ai shahr ke hasīñ rasto
ghar se hī qatl ho ke aatā huuñ
roz aatī hai ek shaḳhs kī yaad
roz ik phuul toḌ laatā huuñ
haa.e gahrā.iyāñ un āñkhoñ kī
baat kartā huuñ Duub jaatā huuñ
ghar ka rasta jo bhul jata hun
kya bataun kahan se aata hun
zehn mein KHwab ke mahal ki tarah
KHud hi banta hun TuT jata hun
aaj bhi sham-e-gham! udas na ho
mang kar main charagh lata hun
main to ai shahr ke hasin rasto
ghar se hi qatl ho ke aata hun
roz aati hai ek shaKHs ki yaad
roz ek phul toD lata hun
hae gahraiyan un aankhon ki
baat karta hun Dub jata hun
- Book : jhunka na-e-mausam kaa (Pg. 199)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.