gaya to husn na diwar mein na dar mein tha
gayā to husn na dīvār meñ na dar meñ thā
vo ek shaḳhs jo mehmān mere ghar meñ thā
najāt dhuup se miltī to kis tarah miltī
mirā safar to miyāñ dasht-e-be-shajar meñ thā
ġham-e-zamāna kī nāgan ne Das liyā sab ko
vahī bachā jo tirī zulf ke asar meñ thā
khulī jo aañkh to afsūn-e-ḳhvāb TuuT gayā
abhī abhī koī chehra mirī nazar meñ thā
na aa.ī ghar meñ kabhī ik kiran bhī sūraj kī
agarche merā makāñ vādī-e-sahar meñ thā
milā na ghar se nikal kar bhī chain ai 'zāhid'
khulī fazā meñ vahī zahr thā jo ghar meñ thā
gaya to husn na diwar mein na dar mein tha
wo ek shaKHs jo mehman mere ghar mein tha
najat dhup se milti to kis tarah milti
mera safar to miyan dasht-e-be-shajar mein tha
gham-e-zamana ki nagan ne Das liya sab ko
wahi bacha jo teri zulf ke asar mein tha
khuli jo aankh to afsun-e-KHwab TuT gaya
abhi abhi koi chehra meri nazar mein tha
na aai ghar mein kabhi ek kiran bhi suraj ki
agarche mera makan wadi-e-sahar mein tha
mila na ghar se nikal kar bhi chain ai 'zahid'
khuli faza mein wahi zahr tha jo ghar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.