gar tujhko hai yaqin-e-ijabat dua na mang
gar tujh ko hai yaqīn-e-ijābat duā na maañg
ya.anī baġhair-e-yak-dil-e-be-mudda.ā na maañg
aatā hai dāġh-e-hasrat-e-dil kā shumār yaad
mujh se mire gunah kā hisāb ai ḳhudā na maañg
ai aarzū shahīd-e-vafā ḳhūñ-bahā na maañg
juz bahr-e-dast-o-bāzu-e-qātil duā na maañg
barham hai bazm-e-ġhuncha ba-yak-junbish-e-nashāt
kāshāna bas-ki tañg hai ġhāfil havā na maañg
maiñ duur gard-e-arz-e-rusūm-e-niyāz huuñ
dushman samajh vale nigah-e-āshnā na maañg
yak-baḳht auj nazr-e-subuk-bārī-e-'asad'
sar par vabāl-e-sāya-e-bāl-e-humā na maañg
gustāḳhī-e-visāl hai mashshāta-e-niyāz
ya.anī duā ba-juz ḳham-e-zulf-e-dotā na maañg
iisā tilism husn taġhāful hai zīnhār
juz pusht chashm nusḳha arz davā na maañg
nazzāra dīgar-o-dil-e-ḳhūnīñ nafas digar
ā.īna dekh jauhar-e-barg-e-hinā na maañg
gar tujh ko hai yaqin-e-ijabat dua na mang
yani baghair-e-yak-dil-e-be-muddaa na mang
aata hai dagh-e-hasrat-e-dil ka shumar yaad
mujh se mere gunah ka hisab ai KHuda na mang
ai aarzu shahid-e-wafa KHun-baha na mang
juz bahr-e-dast-o-bazu-e-qatil dua na mang
barham hai bazm-e-ghuncha ba-yak-junbish-e-nashat
kashana bas-ki tang hai ghafil hawa na mang
main dur gard-e-arz-e-rusum-e-niyaz hun
dushman samajh wale nigah-e-ashna na mang
yak-baKHt auj nazr-e-subuk-bari-e-'asad'
sar par wabaal-e-saya-e-baal-e-huma na mang
gustaKHi-e-visal hai mashshata-e-niyaz
yani dua ba-juz KHam-e-zulf-e-dota na mang
isa tilism husn taghaful hai zinhaar
juz pusht chashm nusKHa arz dawa na mang
nazzara digar-o-dil-e-KHunin nafas digar
aaina dekh jauhar-e-barg-e-hina na mang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.