gar jazba-e-vahshat kā ai dil yahī unvāñ hai
do roz kā dāman hai do din kā garebāñ hai
hañsne meñ ki rone meñ marne meñ ki jiine meñ
ma.alūm nahīñ kis meñ ḳhushnūdī-e-jānāñ hai
ham vahshiyoñ kā maskan kyā pūchhtā hai zālim
sahrā hai to sahrā hai zindāñ hai to zindāñ hai
zindāñ meñ ḳhayāl itnā ai dast-e-junūñ rakhnā
tā-umr asīrī hai aur ek garebāñ hai
allāh zamāne ke dil ko rakhe qaabū meñ
ham jānte haiñ manzar kyuuñ chaak garebāñ hai
gar jazba-e-wahshat ka ai dil yahi unwan hai
do roz ka daman hai do din ka gareban hai
hansne mein ki rone mein marne mein ki jine mein
malum nahin kis mein KHushnudi-e-jaanan hai
hum wahshiyon ka maskan kya puchhta hai zalim
sahra hai to sahra hai zindan hai to zindan hai
zindan mein KHayal itna ai dast-e-junun rakhna
ta-umr asiri hai aur ek gareban hai
allah zamane ke dil ko rakhe qabu mein
hum jaante hain manzar kyun chaak gareban hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.