gali ka manzar badal raha tha
galī kā manzar badal rahā thā
qadīm sūraj nikal rahā thā
sitāre hairān ho rahe the
charāġh miTTī meñ jal rahā thā
dikhā.ī dene lagī thī ḳhushbū
maiñ phuul āñkhoñ pe mal rahā thā
ghaḌe meñ tasbīh kartā paanī
vazū kī ḳhātir uchhal rahā thā
shafīq poroñ kā lams pā kar
badan sahīfe meñ Dhal rahā thā
duā.eñ khiḌkī se jhāñktī thiiñ
maiñ apne ghar se nikal rahā thā
za.iif uñglī ko thaam kar maiñ
baḌī sahūlat se chal rahā thā
ajiib hasrat se dekhtā huuñ
maiñ jin makānoñ meñ kal rahā thā
gali ka manzar badal raha tha
qadim suraj nikal raha tha
sitare hairan ho rahe the
charagh miTTi mein jal raha tha
dikhai dene lagi thi KHushbu
main phul aankhon pe mal raha tha
ghaDe mein tasbih karta pani
wazu ki KHatir uchhal raha tha
shafiq poron ka lams pa kar
badan sahife mein Dhal raha tha
duaen khiDki se jhankti thin
main apne ghar se nikal raha tha
zaif ungli ko tham kar main
baDi sahulat se chal raha tha
ajib hasrat se dekhta hun
main jin makanon mein kal raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.