Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gali gali ki Thokar khai kab se KHwar o pareshan hain

Khalilur Rahman Azmi

gali gali ki Thokar khai kab se KHwar o pareshan hain

Khalilur Rahman Azmi

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    galī galī Thokar khaa.ī kab se ḳhvār o pareshāñ haiñ

    yaañ apnā hosh nahīñ hai kis ko chaah ke armāñ haiñ

    fursat ho to aa ke dekho ham āvāra-gardoñ ko

    kitne ġhubār haiñ is dāman meñ kitne dil meñ tūfāñ haiñ

    sab un adab karte haiñ chāhne vaalā koī nahīñ

    Tokā ik gustāḳh ko lekin ab vo ḳhud pashemāñ haiñ

    sar jo jhukā us shoḳh ke aage aur kahīñ phir jhuk na sakā

    maslak-e-mehr-o-vafā meñ vaa.iz ham kāfir bhī musalmāñ haiñ

    kuchh ko mudāvā karnā hogā is āshufta-mizājī

    ai ġham-e-jānāñ! apne parā.e sab tujh se nālāñ haiñ

    vaadī o sahrā chhoḌ ke jab se tere shahr meñ aan base

    jañgal jañgal DhūñDte phirte ham ko saare ġhazālāñ haiñ

    ahl-e-zamāna ko bas merī ik rusvā.ī yaad rahī

    varna merī vafā ke jaane kitne aur bhī unvāñ haiñ

    ham ne apnī or se ḳhūbāñ kab tum ko bad-nām kiyā

    tum ne jo jo daaġh diye haiñ vo chhātī pe numāyāñ haiñ

    ḳhair se ab ke ahl-e-sitam ko dīvānoñ se kaam paḌā

    dekheñ kitnī zanjīreñ haiñ dekheñ kitne zindāñ haiñ

    jo pāmāl-e-ḳhizāñ haiñ ik din ḳhāk-e-chaman se uTTheñge

    un hashr na jaane kyā ho jo maqtūl-e-bahārāñ haiñ

    Dar na rahā mauj-e-balā ruḳh bhī phirā duniyā havā

    ronā kyā hai dukh sāgar us ke ham par ehsāñ haiñ

    ik ik buuñd jalī hai lahū tab kar ye raat kaTī

    tere liye ai sub.h-e-tarab ham kab se chāk-garebāñ haiñ

    'mīr' tarz apnāyā sab ne lekin ye andāz kahāñ

    'āzmī'-sāhib aap ġhazleñ sun sun kar sab hairāñ haiñ

    gali gali ki Thokar khai kab se KHwar o pareshan hain

    yan apna hi hosh nahin hai kis ko chah ke arman hain

    fursat ho to aa ke dekho hum aawara-gardon ko

    kitne ghubar hain is daman mein kitne dil mein tufan hain

    sab hi un ka adab karte hain chahne wala koi nahin

    Toka ek gustaKH ko lekin ab wo KHud hi pasheman hain

    sar jo jhuka us shoKH ke aage aur kahin phir jhuk na saka

    maslak-e-mehr-o-wafa mein waiz hum kafir bhi musalman hain

    kuchh ko mudawa karna hoga is aashufta-mizaji ka

    ai gham-e-jaanan! apne parae sab hi tujh se nalan hain

    wadi o sahra chhoD ke jab se tere shahr mein aan base

    jangal jangal DhunDte phirte hum ko sare ghazalan hain

    ahl-e-zamana ko bas meri ek ruswai yaad rahi

    warna meri wafa ke jaane kitne aur bhi unwan hain

    hum ne apni or se KHuban kab tum ko bad-nam kiya

    tum ne jo jo dagh diye hain wo chhati pe numayan hain

    KHair se ab ke ahl-e-sitam ko diwanon se kaam paDa

    dekhen kitni zanjiren hain dekhen kitne zindan hain

    jo pamal-e-KHizan hain ek din KHak-e-chaman se uTThenge

    un ka hashr na jaane kya ho jo maqtul-e-bahaaran hain

    Dar na raha mauj-e-bala ka ruKH bhi phira duniya ki hawa ka

    rona kya hai dukh sagar ka us ke hum par ehsan hain

    ek ek bund jali hai lahu ki tab ja kar ye raat kaTi

    tere liye ai subh-e-tarab hum kab se chaak-gareban hain

    'mir' ka tarz apnaya sab ne lekin ye andaz kahan

    'azmi'-sahib aap ki ghazlen sun sun kar sab hairan hain

    Source :
    • Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 50)
    • Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now