fitne ajab tarah ke saman-zar se uThe
fitne ajab tarah ke saman-zār se uThe
saare parind shāḳh-e-samar-dār se uThe
dīvār ne qubūl kiyā sail-e-nūr ko
saa.e tamām-tar pas-e-dīvār se uThe
jin kī numū meñ thī na muāvin havā koī
aise bhī gul zamīn-e-ḳhas-o-ḳhār se uThe
taslīm kī sarisht bas ījāb aur qubūl
saare savāl jur.at-e-inkār se uThe
shahr-e-ta.alluqāt meñ uḌtī hai jin se ḳhaak
fitne vo sab ra.ūnat-e-pindār se uThe
āñkhoñ ko dekhne kā salīqa jab aa gayā
kitne naqāb chehra-e-asrār se uThe
tasvīr-e-gard ban gayā 'akbar' chaman tamām
kaise ġhubār vādī-e-kohsār se uThe
fitne ajab tarah ke saman-zar se uThe
sare parind shaKH-e-samar-dar se uThe
diwar ne qubul kiya sail-e-nur ko
sae tamam-tar pas-e-diwar se uThe
jin ki numu mein thi na muawin hawa koi
aise bhi gul zamin-e-KHas-o-KHar se uThe
taslim ki sarisht bas ijab aur qubul
sare sawal jurat-e-inkar se uThe
shahr-e-talluqat mein uDti hai jin se KHak
fitne wo sab raunat-e-pindar se uThe
aankhon ko dekhne ka saliqa jab aa gaya
kitne naqab chehra-e-asrar se uThe
taswir-e-gard ban gaya 'akbar' chaman tamam
kaise ghubar wadi-e-kohsar se uThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.