rang laenge mere dida-e-nam id ke din
rañg lā.eñge mire dīda-e-nam iid ke din
ḳhuuñ rulā.enge tujhe bhī ye sanam iid ke din
terī furqat meñ sanam terī qasam iid ke din
kuchh rulā.egā mujhe bhī tirā ġham iid ke din
dil kī duniyā meñ masarrat kī bahāreñ aa.eñ
ghar meñ rakh deñ jo mire aap qadam iid ke din
husn aur ishq kī takrār habāb-e-dariyā
barhamī chhoḌ ke ho jaa.eñ baham iid ke din
ab ke bachchoñ ke khilaune haiñ na jhūle mela
dāman-e-dil huā jaatā hai yuuñ nam iid ke din
paas jis ke nahīñ duniyā kī koī chiiz ai 'shād'
us kī aahoñ kā ḳhudā rakkhe bharam iid ke din
rang laenge mere dida-e-nam id ke din
KHun rulaenge tujhe bhi ye sanam id ke din
teri furqat mein sanam teri qasam id ke din
kuchh rulaega mujhe bhi tera gham id ke din
dil ki duniya mein masarrat ki bahaaren aaen
ghar mein rakh den jo mere aap qadam id ke din
husn aur ishq ki takrar habab-e-dariya
barhami chhoD ke ho jaen baham id ke din
ab ke bachchon ke khilaune hain na jhule mela
daman-e-dil hua jata hai yun nam id ke din
pas jis ke nahin duniya ki koi chiz ai 'shad'
us ki aahon ka KHuda rakkhe bharam id ke din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.